Wednesday, June 8, 2011

Ahmed Faraz

Har koi Dil ki haatheli pay hai sehra rakhe
Kiss ko sairab kare woh kise pyasa rakhe

Umar bhar kaun nibhata hai taluq itna
Aye meri jan kay dushman tujhe allah rakhe

Hum ko acha nahi lagta koi hum naam tera
Koi tujh sa ho tou phir naam bhi tujh sa rakhay

Dil bhi pagal hai kay us shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka honay de na, apna rakhe

Hans na itna bhi faqeeron kay akele pan par
Ja khuda meri tarhan tujh ko bhi tanha rakhe

Yeh qanat hai attath hai kay chahath hai Faraz
Hum tou raazi hain woh jis haal mein jaisa rakhe

No comments:

Post a Comment